Tuesday, 17 September 2013

Wafa meN ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai

Wafa meN ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai
Woh sach kahay na kahay aaitebaar karna hai

Yeh tujh ko jaagtay rahnay ka shouq kab say huaa?
Mujhay to khair teraa intezaaar karna hai

Hawa ki zad meN jalanay haiN ansoN kay chiraagh
Kabhi yeh jashan sar E rahguzaar karna hai


Woh muskura kay naye waswasoN meN daal gaya
Khayaal tha K usay sharamsaar karna hai

Misaal E shaakh E barhana khizaN ke rut meN kabhi
Khud apnay jism ko be – barg O baar karna hai

Teray firaaq meN din kiss tarah kattaiN apnay
K shuGhal E shab to sitaray shumaar karna hai

Chalo yeh ashak hi moti samajh kay baich aayaiN
Kissi tarah to hamaiN rozgaar karna hai

Kabhi to dil meN chhupay zakhm bhi numayaaN hoN
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai

Khuda khabar yeh koi zid K shouq hai ‘Mohsin’
Khud apni jaan kay dushman say payaar karna hai

No comments:

Post a Comment

Contact Form

Name

Email *

Message *