Kaisa dil aur uske kya gham je
Yu’n hee baatain banaatey hain, hum je
Kya bhalaa aasteen aur daaman,
Kab se palkein bhi ab nahi nam je
Ussey ab koi baat kya kerna,
Khud se bhi baat kije kam-kam je
Dil jo dil kya tha, ek mehfil tha,
Ab hai darham jee aur barham je
Baat be-tour ho gayi shayad,
Zakhm bhi ab nahi hai, marham je
Haar duniya se maan le shayad,
Dil, hamaare mein ab nahi, dam je
Hai yeh hasrat ke zibah ho jaun,
Hai shikan is shikam ki zaalam je
Kaise aakhir na rang khele’n hum,
Dil lahoo ho raha hai, jaanam je
Hai kharaaba yeh husniya apna,
Roz majlis hai aur maatam je
Waqt dam bhar ka khel hai usme,
Besh az besh hai, kam az kam je
Hai azal se abad talak ka hisaab,
Aur bus ek pal hai peham je
Be-shikan ho gayi hai woh zulfein,
Is gali mein nahi rahe kham je
Dasht-e-dil ka ghazaal hee na raha,
Ab bhalaa kis se kijiye ram je
No comments:
Post a Comment