Tuesday, 17 September 2013

Tark E muhabbat kar baiThe hum, zabt E muhabbat aur bhi hai

Tark E muhabbat kar baiThe hum, zabt E muhabbat aur bhi hai

Ek Qyaamat  beet chuki hai,  ek Qyaamat aur bhi hai

Hum ne usi ke dard se apne saaNs ka rishta joR liya

Wana shahr me zindaa rahne ki ek surat aur bhi hai

Doobta suraj dekh ke khush rahna kis ko raas aaya

Din ka dukh sah jaane walo, raat ki wahshat aur bhi hai

Sirf rutoN ke saath badalte rahne par mauQoof nahi

Us me bach_choN jaisi zid karne ki aadat aur bhi hai

Meri bheegti palkoN par jab us ne donoN haath rakhe

Phir yeh bhed khula in ashkoN ki kuchh Qeemat aur bhi hai

Us ko gaNvakar ‘Mohsin’us ke dard ka Qarz chukaana hai

Ek aziyyat maaNd paRi  hai, ek aziyyat aur bhi hai

No comments:

Post a Comment

Contact Form

Name

Email *

Message *