BichhaR ke tum se yeh sochuN, K dil kahaaN jaaye
Sehar udaas kare, shaam raayegaaN jaaye
ZameeN – badar jo hue ho to mere ham-safaro
Chalay chalo K jahaaN tak yeh aasmaaN jaaye
Tamaam shahr mein phailii hui hai tanhaayii
Ye dil jawaaN sahi, lekin kahaaN kahaaN jaaye
JaluN to yuN K azal jagmagaa uThe mujh se
BujhuN to yuN K abad tak mera dhuwaaN jaaye
Abhi to dil se nikal kar zabaaN tak aayi hai
Kise khabar K kahaaN tak yeh daastaaN jaaye
Qadam-qadam pe hai zandaN ravish-ravish pe salib
Koi to ho jo K jo ab bahr E imtehaaN jaaye
BichhaR chalaa hai to meri duaa bhi leta ja
WahaaN-wahaaN mujhe paye, jahaaN-jahaaN jaye
Main apne ghar ki taraf jaarahaa huN yuN ‘Muhsin’
K jaise luT ke, kisi ban mein kaarvaaN jaaye
No comments:
Post a Comment