Aahat Si Howi Thi, Naa Koi Barg Hilaa Tha
Main Khud Hi Sar-E-Manzil-E-Shab Cheekh Para Tha,
Lamhon Ki Faseelein Bhi Mere Gird Khari Thien
Main Phir Bhi Tujhe Shaher Mein Awaara Laga Tha,
Tune Jo Pukaara Hai Tou Bol Uthaa Hoon, Warna
Main Fikar Ki Dehleez Pe Chup Chaap Khara Tha,
Phaili Thi Bhare Shaher Mein Tanhai Ki Baaten
Shayad Koi Deewar Kay Peeche Bhi Khara Tha,
Ab Is Kay Siwaa Yaad Nahi Jashn-E-Mulaqaat
Ek Maatmi Jugnu Meri Palkon Pe Sajaa Tha,
Ya Barish-E-Sang Ab Kay Musalsal Na Howi Thi
Ya Phir Main Tere Shaher Ki Raah Bhool Gaya Tha,
Ek Jalwa-E-Mehboob Se Roshan Tha Mera Zehn
Wajdaan Yeh Kehta Hai Wohi Mera Khuda Tha,
Weraan Na Ho Is Darja Koi Mosam-E-Gul Bhi
Kehte Hain Kisi Shakh Pe Ek Phool Khila Tha,
Ek Tu Kay Gurezaan Hi Raha Mujh Se Beher Tor
Ek Main Kay Tere Naqsh-E-Qadam Choom Raha Tha,
Dekha Na Kisi Ne Bhi Meri Simt Palat Kar
“Mohsin” Main Bikharte Howe Sheeshon Ki Sadaa Tha
No comments:
Post a Comment