Dukh Ki Lahar Ne Chera Hoga
Yad Ne Kankar Phenka Hoga
Aj To Mera Dil Kahta Hai
Tu Is Waqt Akela Hoga
Mere Chume Hue Hathon Se
Auron Ko Khat Likhta Hoga
Bhig Chalin Ab Rat Ki Palkain
Tu Ab Thak Kar Soya Hoga
Rel Ki Gahri Siti Sun Kar
Rat Ka Jangal Gunja Hoga
Shahar K Khali Steshan Par
Koi Musafir Utra Hoga
Angan Main Phir Chiriyan Bolen
Tu Ab So Kar Utha Hoga
Yadon Ki Jalti Shabnam Se
Phul Sa Mukhra Dhoya Hoga
Moti Jaisi Shaql Banakar
Aine Ko Takta Hoga
Sham Hui Ab Tu Bhi Shayad
Apne Ghar Ko Lauta Hoga
Nili Dhundhli Khamoshi Main
Taron Ki Dhun Sunta Hoga
Mera Sathi Sham Ka Tara
Tujh Se Ankh Milata Hoga
Sham K Chalte Hath Ne Tujh Ko
Mera Salam To Bheja Hoga
Pyasi Kurlati Kunjun Ne
Mera Dukh To Sunaya Hoga
Main To Aj Bahut Roya Hun
Tu Bhi Shayad Roya Hoga
‘Nasir’ Tera Mit Purana
Tujh Ko Yad To Ata Hoga
No comments:
Post a Comment