Yeh kaisi aag barasti hey Aasmaano say
Parindey Laut kar aaney lagey Udaano say
Koi tau Dhoondh ke Mujhko Kahin say ley aaye
Ki Khud ko dekha nahin hey bahut zamaano say
Palak jhapkatey hi mere Udaan bhartey he
Hazaaron teer nikal aayengey kamaano say
Hui hey Der-o-Haram mei yeh saazishein kaisi
Dhuan sa uthaney laga shaher ke makaano say
Shikaar karna tha Jinko, Shikaar kar key gaye
Shikariyon utar ao ap tum machano say
Rivayaton ko kahan tak uthaye ghumogey
Yeh Bojh utaar do tum apney kaandhon say
No comments:
Post a Comment