Ye Mai Jo Harf Se Misray Nahe Hujray Banata Hun
Duay-E-Neem Shab Tery Ijazat Se Banata Hun
Bohot Agy Ki Manzil Hai Khayal-E-Manzil-E-Jana
Mai Rasty Tak Pohanchny K Liye Rasty Banata Hun
Isi Khatir Koza Gari Se Hath Khenchy Hai Mainy
Mujhy Mehsoos Hot Tha Kah K Mai Kasy Banata Hun
Ijazat He Nahe Isko Nomaesh Me Galy Lagany Ki
Kah Mai Tasveer Mai Jalty Hue Khaimy Banata Hun
Mujhy Jab Mustakil Ghum Ki Zarurat Tang Karty Hai
Mai Tujh Ko Qatal Karny K Mansoby Banata Hun
Na Keu Tarq-E-Taa'luq par Gumaa Guzrey Muhabbat Ka
Kah Mai Tu Be Dili Ka Kaam Bhe Dill Se Banata Hun
Mujhy Aisy Koh-E-Kan, Ko Raftaga Ka Ranj Hai Tabish
Mai Pahar Kat Kar Nehr-E'n Nahe Kutby Banata Hun
No comments:
Post a Comment