Friday, 2 August 2013

Khwaab-nagar hai aaNkheN khole dekh rahaa huuN

Khwaab-nagar hai aaNkheN khole dekh rahaa huuN
us ko apnii jaanib aate dekh rahaa huuN

kis kii aahaT qarya qarya phail rahii hai
diivaaroN ke raNg badalte dekh rahaa huuN

kaun mire jaaduu se bach kar jaa saktaa hai!
aaiinaa huuN, sab ke chehre dekh rahaa huuN

darvaaze par tez havaaoN kaa pehraa hai
ghar ke andar chup ke saaye dekh rahaa huuN

jaise meraa chehraa mire dushman kaa ho
aaiine meiN Khud ko aise dekh rahaa huuN

manzar manzar viiraanii ne jaal taane haiN
gulshan gulshan bikhre patte dekh rahaa huuN

manzil manzil haul meN Duubii aavaazeN haiN
rastaa rastaa Khauf ke pahre dekh rahaa huuN

shehr-e-saNg dilaN meiN Amjad har raste par
aavaazoN ke patthar chalte dekh rahaa huuN

No comments:

Post a Comment

Contact Form

Name

Email *

Message *