khud apne liye baiTh ke socheN ge kisii din
yuuN hai ke tujhe bhuul ke dekheN ge kisii din
bhaTke huye phirte haiN kaii lafz jo dil meiN
duniya ne diya waqt to likkheN ge kisii din
hil jaayeN ge ik baar to arshoN ke dar-o-baam
ye khaak nashiiN log jo boleN ge kisii din
aapas ki kisii baat ka miltaa hii nahiiN vaqt
har baar ye kehte haiN keh “baiTheN ge kisii din”!
ai jaan tirii yaad ke be-naam parinde
shaaKhoN pe mire dard kii utreN ge kisii din
jaatii hai kisii jhiil ki gehraii kahaaN tak
aaNkhoN meiN tirii Duub ke dekheN ge kisii din
Khushbu se bharii shaam meiN jugnuu ke qalam se
ik nazm tire vaaste likkheN ge kisii din
soyeN ge tirii aaNkh ki Khalwat meiN kisii din
saaye meiN terii zulf ke jageN ge kisii din
sehra-e-Kharaabii ki isii gard-e-safaa se
phuuloN se bhare raaste nikleN ge kisii din
Khushbuu ki tarah misl-e-sabaa khvaab numaa se
galyoN se tire shahr kii guzreN ge kisii din
Amjad hai yahii ab k kafan baaNdh ke sar par
us shahr-e-sitamgaar meiN jaayeN ge kisii din!
No comments:
Post a Comment