gulaab chehre pe muskuraahaT
chamakti aankhoN meN shoKh jazbe
voh jab bhii college ki siiRhiioN se
sahelioN ko liye utarti
to aise lagta tha jaise dil meN utar rahi ho
kuch is tayaqqun se baat karti thii jaise duniya
usii ki aankhoN se dekhti ho
voh apne raste meN dil biChhaati hui nighaahoN se hans ke kehti
"tumhaare jaise bahut se laRkoN se maiN yeh baateN
bahut se barsoN se sun rahi huuN!
maiN saahiloN ki hawa huuN, niile samandaroN ke liye bani huuN!"
voh saahiloN ki hawa si laRki
jo raah chalti to aise lagtaa tha jaise dil meN utar rahi ho
voh kal mili to is tarah thi
chamakti aankhoN meN shoKh jazbe,

gulab chehre pe muskuraahaT
k jaise chaandi pighal rahi ho
magar jo boli to us ke lehje meN
k jaise chaandi pighal rahi ho
magar jo boli to us ke lehje meN
voh thakan thi k jaise sadioN se
dasht-e-zulmat meN chal rahi ho!
,,,
No comments:
Post a Comment