Friday, 2 August 2013

bhiiR meN ik ajnabii kaa saamna achcha lagaa

bhiiR meN ik ajnabii kaa saamna achcha lagaa
sab se Chhup kar vo kisii kaa dekhna achcha lagaa

surmai aankhoN ke niiche phuul se khilne lage
kehte kehte kuch kisii kaa sochna achcha lagaa

baat to kuch bhii nahiN thii lekin us kaa ek dam
haath ko hoNto pe rakh kar rokna achcha lagaa

chaaye main chiini milaana us ghaRii bhayaa bahot
zer-e-lab vo muskrataa shukriyaa achcha lagaa

dil meiN kitne ehd baaNdhe the bhulaane ke use
vo milaa to sab iraade toRnaa achcha lagaa

be iraadah lams kii vo sansanii pyarii lagii
kam tavajj’o aankh kaa vo dekhna achcha lagaa

niim shab kii Khamushi meN bhiigti saRkoN pe kal
terii yaadon ke jilau meiN ghuumna achcha lagaa

us udu-e-jaaN ko 'Amjad' maiN buraa kaise kahuN
jab bhii aayaa saamne vo bevafaa achcha lagaa

No comments:

Post a Comment

Contact Form

Name

Email *

Message *